Kya jahan sach mein itna khush hai jitna dikaye hai?
Kya yeh nacheez bewajeh hi ashq bahaye hai?
Kya yeh muskaan sabki sachi hai?
Ya harr koi, koi utkalta andar dabaye hai
Kya jahan sach mein itna khush hai jitna dikhaye hai
Naddan thi sakhi jo samjhi k lafz sab bayain kar paye hain
Aandar tufan hai, par kaise muskaan mein dabaye jaye hai
Hai aarz khuda se, koi aaye na pass deewane k
Jaan jayega, kya haal hai shagir-d-ghalib ka,
Kitna shorr hai shab-e-mehkhane mein,
Rehm hai khuda ka, k baithe hain isko chupaye
Par fir soche hai deewane, kya jahan sach mein itna khush hai jitna
dikaye hai?
Kya yeh nacheez bewajeh hi ashq bahaye hai?